geele kagaz ki tarah hai zindagi apni, koi likhta bhi nahi koi jalata bhi nahi. iss kadar akele ho gaye hai hum aajkal, koi satata bhi nahi koi manata bhi nahi.
geele kagaz ki tarah hai zindagi apni, koi likhta bhi nahi koi jalata bhi nahi. iss kadar akele ho gaye hai hum aajkal, koi satata bhi nahi koi manata bhi nahi.
2) Lamho Lamho per Khwaab Likhoonga,
Apni zindagi per kitaab likhoonga,
Aapki gardan (neck) to phoolon ki tehni,
Aur aapke chehre ko gulab likhoonga.
3) Jaan hai hume zindagi se pyaari,
jaan ke liye kardoo qurban main apni yaari,
jaan ke liye main tod doo dosti tumahri,
ab aap se kya chhupaoo aap hi to jaan hamari.
4) jis shaam mein mere lab per aapka naam na aaye,
khuda kare ki kabhi aisi shaam na aaye,
ae jaane wafa yeh kabhi mumkin nahin ki,
afsaana likhoon aur aapka naam na aaye.
5) laher aati hai kinaare se palat jaati hai,
yaad aati hai aur dil mein simat jaati hai,
laher aur yaad mein farq sirf itna hai ki,
laher bewaqt aur yaad har waqt aati hai.


