Maine Khuda se ek dua maangi

1) Maine Khuda se ek dua maangi,
Dua mein apni mout maangi,
Khuda ne kaha mout to main tujhe de sakta hoon magar,
Uska kya karoon jisne dua mein teri lambi umar maangi.

2) Lamho Lamho per Khwaab Likhoonga,
Apni zindagi per kitaab likhoonga,
Aapki gardan (neck) to phoolon ki tehni,
Aur aapke chehre ko gulab likhoonga.

3) Jaan hai hume zindagi se pyaari,
jaan ke liye kardoo qurban main apni yaari,
jaan ke liye main tod doo dosti tumahri,
ab aap se kya chhupaoo aap hi to jaan hamari.

4) jis shaam mein mere lab per aapka naam na aaye,
khuda kare ki kabhi aisi shaam na aaye,
ae jaane wafa yeh kabhi mumkin nahin ki,
afsaana likhoon aur aapka naam na aaye.

5) laher aati hai kinaare se palat jaati hai,
yaad aati hai aur dil mein simat jaati hai,
laher aur yaad mein farq sirf itna hai ki,
laher bewaqt aur yaad har waqt aati hai.

6) Dosti achchi ho to rang laati hai,
Dosti gehri ho to sabko bhaati hai,
Dosti nadaan ho to toot jaati hai,
Aur agar dosti hum jaiso se ho to itihaas (History) ban jaati hai.

 
Design by Wordpress Theme | Bloggerized by Free Blogger Templates | coupon codes